Kya Banaau?/ क्या बनाऊ ?

Kya Banaau?/ क्या बनाऊ ?






Mujhe lagta hai ki shayad hum sabhi Pati in shabdo ka arth bhali bhaanti samajh gaye honge, ye ek aisa shabd hai jis din raat sunna padta hai aur koi chahe kuch karle par isse nijaat nahi paa sakta. patniya ye poochte poochte thakti nahi hain aur nirantar yeh sawaal karti rehti hain, jabki ve ye jaanti hain ki iska uttar hum Patiyo ke pass kabhi nahi hoga...



Situation:

Jaise hi aap kahi se ghar aate hain, aapko pyaar se welcome kiya jaata hai ek muskurahat ke saath, aur phir ek sawaal poocha jaata hai ki suno... khane mein kya banadu, aur aap ek tak khade reh jaate hain, aapko kuch nahi soojhta, aap baawle se ho jaate hain. Aur ho bhi kyu na, aap ko kaunsa ye pata hai ki fridge mein kya rakha hai, konsi sabzi ghar mein hai ya bhala aapke Chicken tandoori khaunga kehne se konsa bhala vo bana diya jaega..bhaiya ghoom phir ke milega to vo hi jo patniyo ne banana hai, Patniya pehle se hi soch ke baithi hoti hain ki aaj kya banega, unka bas aapko importance dene ka yeh ek propaganda hota hai jisse ki aap is bhramm mein rahe ki aapki bahut importance hai ya aapke sujhaav ki koi izzat hai is maamle mein.


Resolution:

Jaise hi aapse yeh sawaal poocha jae to samajh lijiye ki aap ke paas ghanta koi uttar nahi hone waala hai is baat ka, kyuki aapko sach mein koi gyaan nahi hai ki aap ke ghar mein kya rakha hai banane ko aur kya nahi, apni kisi man pasand cheez ki farmaaish karne ki sochna bhi mat kyuki aapse bada bewakoof phir koi nahi ho sakta. yaad rakhiye ki patni aapse is liye aisa pooch rahi hai kyuki vo koi khaas mehnat nahi karna chahti hain aur chati hain ki aap unhein kuch aisa banane ko bole jisme mehnat kam se kam lage aur kuch aisa jo jaldi se banaya ja sake. paratha with Achaar, Daal chawal, Bread butter, Bread omlette ya Aloo zera with roti maangne mein hi aapki bhalai hai, issie zyada ki apeksha katai na karein. Aur ye kabhi na bole :"Jo mann kare vo bana lo babu" kyuki iske mized parinaam ho sakte hain jo ki aapki conversation ko kahin ka kahin le ja sakte hain.



Jaise ki:

*jab main kuch banaungi to tum nakhre dikhaoge
*jo banaungi khana padega
*jab banati hu to tumhe kuch samajh nahi aata
*ye nahi banega, parso hi to bana tha
*nahi, rehne do bas..aree isse tumhe Gas hoti hai
*ye nahi banaungi, doctor ne mana kiya hua hai tumhe
*khabardaar jo koi chu chaa kari to phir
*seedhe seedhe nahi bata sakte kya khana hai...ityaadi..


isliye yeh samajh lena aapke liye ati aavashyak hai ki is sthti mein aap bas kewal seedha seedha jawaab dein aur asaaani se banne waali vastuo ka naam lein ya kuch aisa kahein jo patni ji ko pasand ho, iske alawa kuch bhi kehne ki cheshta karna uparyukt samasyaaon ko bulawa dena hai....






#PatiHitMeinJaari

Nitin Khanna, New Delhi




यदि आप अपनी कहानी यहाँ प्रस्तुत करना चाहते है, तो हमें इस ईमेल एड्रेस (appkajeevan@gmail.com)पर लिखें और हम आपके लेखन को शामिल करने कि पूरी पूरी कोशिश करेंगे।  

"धन्यवाद"




If you would like to contribute your articles on this Blog, then please send them to this email address (appkajeevan@gmail.com), we would try our best to publish it for you.

"Thank You"




Image credits:(http://goo.gl/JEO4He)

Comments

  1. Bhai logon .....haqiqat yahi hai hai k jo biwi chahti hai banana wahi baneyga to akalmandi issi mein hai k jo dhrampatni kahe usski haan mein haan milatey rahe....lekin issk baad bhi aap 100% sure ahi ho saktey k aap bach jayegay....kyuki probabilities toh logic mein hoti hai ...ye biwiyaan toh logic se less hoti hai .......

    ReplyDelete
    Replies
    1. Umdaaaa...bhaut Umdaaaaa sarkaar :)

      Delete
  2. thank god we are doing night shifts and i take wife out for dinner on weekends!!
    saap bhi mar gaya aur laathi bhi na tuti!!

    From aapka - aap sabhi ka
    Master Black Belt in Ardhaangni samasya resolution service!

    ReplyDelete

Post a Comment

Please comment wisely :)

Popular posts from this blog

Patni Par Nibandh / पत्नी पर निबंध

JUST KIDDING HONEY ;)