Posts

Showing posts with the label #rslive2k #appkajeevan #kyabanaau

Kya Banaau?/ क्या बनाऊ ?

Image
Kya Banaau?/ क्या बनाऊ ? Mujhe lagta hai ki shayad hum sabhi Pati in shabdo ka arth bhali bhaanti samajh gaye honge, ye ek aisa shabd hai jis din raat sunna padta hai aur koi chahe kuch karle par isse nijaat nahi paa sakta. patniya ye poochte poochte thakti nahi hain aur  nirantar yeh sawaal karti rehti hain, jabki ve ye jaanti hain ki iska uttar hum Patiyo ke pass kabhi nahi hoga... Situation: Jaise hi aap kahi se ghar aate hain, aapko pyaar se welcome kiya jaata hai ek muskurahat ke saath, aur phir ek sawaal poocha jaata hai ki suno... khane mein kya banadu, aur aap ek tak khade reh jaate hain, aapko kuch nahi soojhta, aap baawle se ho  jaate hain. Aur ho bhi kyu na, aap ko kaunsa ye pata hai ki fridge mein kya rakha hai, konsi sabzi ghar mein hai ya bhala aapke Chicken tandoori khaunga kehne se konsa bhala vo bana diya jaega..bhaiya ghoom phir ke milega to vo hi jo patniyo ne banana  hai, Patniya pehle se hi soch ke baithi hoti hain ki aaj kya ...